Insaaniyat

0 26
Avatar for Sadiayaar
3 years ago
Topics: Tips

insaaniyat ek aisi chez ek aisa ehsaas hai jo aap har kisi se umeed nhe kar sakte,ab ye bohat kam logon me paai jati hai jinme hoti b hai un k hisaab un k matlab se.is daur me ye bohat he nayaaab hogai hai.darasal me jin me ho unko log bewakoof pagal or jane kin kin alfaaz se nawazte hain.agar aj hum me hr kisi k liye insaaniat nahe to shayad hum khud ko insaan kehna band kar dena chaiye,jane kahan kho gai hai ye insaniyat kin khwahishon me kho gaye hain hum insaan jo dosron ko dukh me dekhte howe b khamosh hain sirf khamosh he nhe sukoon se jee rahay apne aas paas k apne kareebi azeezon ko b nahe dekh paa rahay har koi khud me gum hai khud ki khushi,hame sukoon kese ayega ye sb me zinda rehte howe isiliye shayad sub sukoon ko taraste hain.aap kisi zaroortmand ki madad kar k dekhein wo jo muskurahat hoti zarormand k chehre pe wo kitna sukoon deti hai,kabhi aazmana.par yaad rahay ye koshish apne kareebi logon se shuru karo.

written by sadiyaar

-3
$ 0.00

Comments