Tanha rahna seekh raha hu Maar k jeena seekh raha hu Mang k pana seekh liya ha Paa kr khona seekh raha hu Sabar ko zaad e rah bana kr Kanch py chalna seekh raha hu Parhaty parhaty sahraa sahraa Piyas ko peena seekh raha hu Jeeny k ajaab taqaazy Zinda rahna seekh raha hu Madhushi ny bohat sataya SaQi Hosh main rahna seekh raha hu.....
Log in to join in Reading is open to everyone. Replying needs an account.
No comments yet